Vidya & Emraan best Dialogues in Hamari Adhuri Kahani 2015

Best Dialogues From Movie "Hamari Adhuri Kahani". Recently released (12 june ) Bollywood Movie Starring Vidya Balan and Emraan hasmi "Hamari Adhoori Kahani" got good response at box office , story was also good, especially the dialogues ,all are awesome , especially romantic ones.
















Dialogues By emraan Hashmi :

1) Tum Bhi Mujhse Pyaar Karti Ho Bahot Pyaar
Lekin Kahogi Nahi, Tadpogi Mere Bagair, Magar Jataoogi Nahi,
Mere Pass Aana Chahti Ho, Sine Se Lagke Rona Chahti Ho,
Dil Main Reh Na Chahti Ho Lekin Rahogi Nahi,
Lekin Main Tumhari Tarah Nahi Hun,
Main Toh Reh Hi Nahi Sakta Yeh Kahe Bina Ki Mujhe Tumse Ishq Hai

2) Sachhe pyaar ki kahaani ka kabhi anth nahin hota

3) Main ek bahut hi khudgarz insaan hoon. Jo karta hoon apni khushi ke liye karta hoon

4) Is Se Jyada Taklif Kya Hogi Mujhe Ki Maut Nahi Zindagi Darati Hai Tumhe.
Akela Pan Nahi Pyaar Darata Hai Tumhe

5) Insaan ki shasiyat aur jasbaat uske kaam mein nazar aate hain

6) EK Bikhra Hua Insaan Tha Main Jo,
Apne Aap Ko Daulat Se Samet Ne Ki Koshish Kar Raha Tha.
Phir Tum Aaye Meri Zindagi Main, Samet Liya Mujhe.

7) Dard Kum Hota Hai Khushi Dene Se
Dukh Kum Hota Hai Sukh Dene Se
Main Tumse Ek Sauda Karna Chahta Hun
Tumhare Is Dard Ke Badle Main Tumhe
Duniyaa Ki Saari Khushiyaan Dena Chahta Hun

8) Bahut Zalim insaan hoon main. Kaam ke liye kisi ko nahin bakshta. Khud ko bhi nahin. Kya karun, kaam hi kuch aisa hai

9) Tumhare is dard ke badle mai tumhein khushi dena chahta hoon

Dialogues by Vidya Balan :

1) Bahot Pyaar Kiya Hai Maine Tumse,
Aur Main Yeh Nahi Kar Sakti Ki,
Apna Swarg Sajane Ke Liye
Tumhe Is Nark Main Dhakel Dun


2) Har Khoobsurat cheez mein daag hota hai. Chaand mein bhi hai


 3) Rajkummar Rao: Tum soyi ho uske sath?
Vidya Balan: Pyaar karti hoon main us se. Bahut jyada


4) Mera Atit Muhe Ghere Hue Hai,
Kya Tum Mujhe Mera Atit Bhula Sakte Ho,
Main Jeena Nahi Jaanti, Jeena Sikha Sakti Hun

5) Is gunhaah ki saza mujhe darati nahin aur kanoon se bhagne ki mujhe zaroorat nahin

Share on Google Plus

About Unknown

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment

0 comments:

Post a Comment